Cover art for Anuv Jain - Husn (Romanized) by Genius Romanizations

Anuv Jain - Husn (Romanized)

Dec. 1, 20237 viewers1.8M views

Anuv Jain - Husn (Romanized) Lyrics

[Intro]
Haan, haan

[Verse 1]
Dekho, dekho, kaisi baatein yahaan ki
Hain saath par hain saath naa bhi
Kya itni aasaan hain?
Dekho, dekho, jaise mere iraade
Vaise kahan tere yahaan the
Haan, kitni nadaan main

[Chorus]
Mere husn ke ilaawa kabhi dil bhi maang lo naa
Haaye, pal mein main pighal jaaun, haan
Abh aisa naa karo ki dil jud naa paaye vaapis
Teri baaton se bikhar jaaun, haan

[Verse 2]
Maana zamana hai deewana
Isiliye tune naa jaana
Tere liye main kaafi hun
Dekho, dekho, yeh zamaane se thak kar
Aate ho kyun masoom ban kar?
Tere liye main kya hi hun? (Haan)

[Chorus]
Phir aate kyun yahaan karne aankhon mein ho baarish?
Abh aaye toh theher jaao na
Aur puchcho naa zara merе din ke baare mein bhi
Bas itnе mein sambhal jaaun, haan
[Post-Chorus]
Haan, ek din kabhi koi
Jab bhi padhe kahani teri
Lagta mujhe mere naam ka
Zikr kahi bhi hoga nahi

[Bridge]
Haan, main yahin
Meri yeh aankhon mein, aankhon mein toh dekho
Dekho, yeh dil ka haal kya
Honthon se hota na bayaan
Meri yeh aankhon mein, aankhon mein toh dekho
Kaisa naseeb hai mera
Milke bhi naa mujhe mila
Meri yeh aankhon mein, aankhon mein toh dekho
Teri adhoori si wafa
Maangu, main maangu aur naa
Meri yeh aankhon mein, aankhon mein toh dekho

[Outro]
Dekho, dekho, kaisi kheenchi lakeerein
Chahe bhi dil toh bhi naa jeete
Main iss daud mein nahin
Dekho, dekho, kaisi baatein yahaan ki
Baatein yahin dekhun jahan bhi
Main iss daur se nahi

How to Format Lyrics:

  • Type out all lyrics, even repeating song parts like the chorus
  • Lyrics should be broken down into individual lines
  • Use section headers above different song parts like [Verse], [Chorus], etc.
  • Use italics (<i>lyric</i>) and bold (<b>lyric</b>) to distinguish between different vocalists in the same song part
  • If you don’t understand a lyric, use [?]

To learn more, check out our transcription guide or visit our transcribers forum

About

This song bio is unreviewed
Genius Annotation

With music aur lyrics Anuv Jain ke, Husn ek khubsurat aur mehsoos karne wali piece hai jo mohabbat ke pehluon, uss ke intezaar aur be-awaaz khwahishon ko gehraayi tak le jaata hai. Asaani se dekha jaa sakta hai ke Jain kis tarah rishtey mein mohabbat ki asli chahat ko bayan karte hain, jo ke chah kar bhi haath nahi aati. Jaise ki refrain mein dikhaya gaya hai, narrator ki awaaz ek aise khwahish ko izhaar kar rahi hai jo sirf dekhne ki khwahish se zyada hai.

Tasveeron aur metaphors ka istemal karte hue, ye gana ek aise paradox ko dikhata hai jahan aap physically qareeb hote hue bhi jazbaat mein doori mehsoos karte hain. Chorus mein puri intensity hai, jahan hero apni lover se sirf uski khoobsurti nahi, balki uske dil ka khayal rakhne ki guzarish karta hai. Anuv ki narm aur jazbaati awaaz ke saath saath, simple aur asar daari arrangements, wo udaasi ka ehsaas jagate hain jo zindagi mein tab hota hai jab jazbaat ka jawab nahi milta aur rishtey khamoshi mein chhup jaate hain.

Q&A

Find answers to frequently asked questions about the song and explore its deeper meaning

Guitar Cords
Genius Answer

Capo — 5th fret
Verse/Outro – F C E 7 Am G
Chorus – F C G F G
Post-Chorus -F Am F C E7 Am F G
Bridge – C Am F G

— From pinned comment of the song by the artist

Credits
Released on
December 1, 2023
Anuv Jain - Husn (Romanized) Is A Translation Of
Tags
Comments
Sign Up And Drop Knowledge 🤓
Genius is the ultimate source of music knowledge, created by scholars like you who share facts and insight about the songs and artists they love.
  翻译: